Pyar ki Umar
Har pyaar ki ek umar hoti hai.. Pyaar mai.. Koi galat nahi, Koi sahi nahi.. Koi bewafa nahi, Koi khudgar.... Shayad thoda khudgarz hai Toh bhi sahi Par jaisa apne Zakir Bhai kehte hai.. Har pyar ki ek umar hoti hai.. Woh janam leta hai.. Phalta phulta hai.. Jawani mai saara, Brhamand aur taare Dikhata hai.. Umar badhte badhte.. Khushi aur gham Dono hi lifafe mei lapet Taufa de jata hai Aur budhape mei.. Saari yaadein dhundli hone lagti hai.. Pehchaan apni mitne lagti hai.. Phir kabhi aise bhayankar sapne dikhata hai Jaise ki woh iss duniya se chale gaye.. Ghabra kar jab tum apni Neend Puri hone se pehle Hi uth jathe ho toh.. Tumhe samajh aata hai ki.. dhat pagle.. Woh toh sirf tumhari duniya se chale gaye.. Iss dharti wali duniya se nahi Unki toh nayi behtar zindagi shuru ho rakhi hai.. Jo mazedaar hai, jo dhueedar hai Tumhare bina.. Par ye dil kambaqt thehra.. Jo aaj bhi nahi samajh raha.. Ki Har pyar ki ek umar hota hai.. Aur hamari pyaar ki umar