Pyar ki Umar
Har pyaar ki ek umar hoti hai..
Pyaar mai..
Koi galat nahi,
Koi sahi nahi..
Koi bewafa nahi,
Koi khudgar.... Shayad thoda khudgarz hai
Toh bhi sahi
Par jaisa apne Zakir Bhai kehte hai..
Har pyar ki ek umar hoti hai..
Woh janam leta hai..
Phalta phulta hai..
Jawani mai saara,
Brhamand aur taare
Dikhata hai..
Umar badhte badhte..
Khushi aur gham
Dono hi lifafe mei lapet
Taufa de jata hai
Aur budhape mei..
Saari yaadein dhundli hone lagti hai..
Pehchaan apni mitne lagti hai..
Phir kabhi aise bhayankar sapne dikhata hai
Jaise ki woh iss duniya se chale gaye..
Ghabra kar jab tum apni
Neend Puri hone se pehle
Hi uth jathe ho toh..
Tumhe samajh aata hai ki..
dhat pagle..
Woh toh sirf tumhari duniya se chale gaye..
Iss dharti wali duniya se nahi
Unki toh nayi behtar zindagi shuru ho rakhi hai..
Jo mazedaar hai, jo dhueedar hai
Tumhare bina..
Par ye dil kambaqt thehra..
Jo aaj bhi nahi samajh raha..
Ki
Har pyar ki ek umar hota hai..
Aur hamari pyaar ki umar
Comments
Post a Comment